Random

Insan wavela, cheekh pukar, ah-o-baka jub karta hai jub wo bebus hota hai, Kamzor hota hai. Jub ap halaat k lye kuch karny ka soch rahy hain, apna kirdar ada kar rahy hun to phir bebasi ki wo kefyat nahin hoti or na be-sabri hoti hai. ap ne halaat ko achi tarhan samajh lia to usky mutabiq kam karty rahyn. Kher or shar ki quwwatein azal se bar sary pekar hain ek dusry se. Apni salyhaton ko un cheezon k peechey na khatam karyn jo apky bas mein nahin. Beshak apni taqat ko barhany ka saman karty rahyn lekin jald bazi, be sabra pan na dikhayen. yaqeen rakhyn; apny Malik per, apni quwwaty bazu per. Phir kamal dekhyn. Dushman kabhe nahin hara sakyga. Or jeet hamari he hogi. 

Comments

Popular posts from this blog

SALAHUDDIN AL-AYUBI (The Liberator Of Jerusalem) -I

Something different yet so Beautiful

REASON OF EXISTENCE