Baghban
Kis qadar musarrat hoti hogi us baghban ko jo apny darakhton k saye mein din guzarta hoga. Unki thandi chaun mein kabhe sastana kabhe so jana. patty thapak thapak k lorry dyn, narm hawaon se sehlayen. Kabhe is darakht k neechey, kabhe us darakht k saye mein. kabhe is darakht ka phal, kabhe uska. apny hath se lagaye hue paudon ko barha hua dykh kar kitna sukun milta hoga. usky ek ek patty per uska haq hai. un waaldyn ka bhe kitna khoon barhta hoga apni aulaad ko dykh kar, jab wo unki ankhon ko thandak dety hongy, apny apko unky agey jhukaty hongy. apni umar bhar ki kamai ko aese sakarat hoty dykh kar wo khushi se phooly na samatey hongy. I hope hamary waldyn bhe is khushi is sarshari se aashna hun or hum unki dunia or akhirat sanwarny ka baayis banyn.